DAWAT-E-TAUHEED Islamic Group
Islam ke asal aqeedah ko behtareen tareeqe se samajhne aur samjhane ka platform hain."

“Tauheed hai maqsad-e-hayat-e-bashar,
Isme hai chhupi har mushkil ka samar.
Jo maane sirf Allah ki wahdaniyat ko,
Wohi hai haqiqi nijaat ka safar.”
Free Book and Qur'an Available

Dawat-e-Tauheed Book (Urdu aur Roman)
Dawat-e-Tauheed yeh kitab likhne ka maqsad yeh hai ki logo ko galat aqide se nikaal kar sahi aqide ki taraf laaya jaaye taaki log jahannam ka rasta chhod kar jannat ka rasta apna le

Free Qur'an (Roman)
Free Qur'an ko taqseem karne ka maqsad yeh hai ki log zyada se zyada ALLAH ke kalaam ko padhe aur us par amal kare aur isme tarjuma roman me likha gaya hai taaki jise urdu padhna na aata ho wo aasani se use padh sake
Tasdeeq

Shaikh Tahir Sanabali Hafizahullah
Allah Ta’ala ne Jinnat aur Insan ko fitrat-e-tauheed par takhleeq kiya, Iblees aur insan numa Iblees ne bargashta kiya. Ambiya (A.S) ne nabard aazmai ki aur tauheed ke phareere ko lehraya aur shirk ki bekh kuni ki.
Tauheed aur shirk ki jung qadeem tareen jungon mein se hai. Ek taraf tauheed ke sheedaai ambiya ke waaris hain, aur doosri taraf mushrik mardon ke pujari. Ta hunooz yeh silsila jaari hai, aur subah-e-qayamat tak jaari rahega. Yeh alag baat hai ke jannat ke makeen tauheed par jaan, maal aur poora waqt Rab-e-Kainaat ki khushnudi ke liye nichhawar karte rahenge aur jahannamiyon ka tola shirk ka dhandhora peetne mein kasar nahi chhodega.
Aapke haathon mein yeh kitaabcha “Dawat-e-Tauheed” darasal un dalaail par mushtamil hai jinhein maine audio ki shakal mein pesh kiya hai aur mere official Telegram channel par mojood hain.
Taqreeban paanch saal pehle mere classmate Umar Farooq Madani ne khutaba ke liye isse kitaabi shakal mein pesh karne ka mutalaba kiya tha, magar ho na saka. Lillah al-amr min qabl wa min ba’d.
Yeh kitaabcha un tamam khawateen o hazraat ke liye nihayat hi umda aur mufeed tareen hai jo ambiya karam ke mission ko raza-e-Ilahi ke liye aage badhane ka shauq aur jazba rakhte hain aur shirk, bid’aat aur khurafaat ko bekh-o-bun se ukhaadne ka hosla bhi.
Allah Ta’ala iske murattib aur nashir, bhai Syed Naushad ko jazaye khair de aur mazeed himmat aur hosla se nawaze, taake shirk aur bid’at ka postmortem karte rahen aur tauheed aur sunnat ka parchar bhi.
Tahir Sanabli
Saudi Arab